SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadqe"
Sher MATCHES FOR "sadqe"
Sher
chashm pur-nam zulf aashufta nigaahe.n be-qaraar
is pashiimaanii ke sadqe mai.n pashiimaa.n ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
Amanullah Khalid
Sher
tere qurbaan 'qamar' mu.nh sar-e-gulzaar na khol
sadqe us chaa.nd sii suurat pe na ho jaa.e bahaar
Qamar Jalalvi
Sher
momin mai.n apne naalo.n ke sadqe ki kahte hai.n
us ko bhii aaj nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
dariyaa kii zindagii par sadqe hazaar jaane.n
mujh ko nahii.n gavaaraa saahil kii maut marnaa
Unknown
Sher
mausam-e-gul tire sadqe tirii aamad ke nisaar
dekh mujh se miraa saaya bhii judaa hai ab ke
Akhtar lakhnvi
Sher
jaan sadqe ek bose par kare.nge umr-bhar
dekh lo mu.nh se milaa kar mu.nh hamaaraa jhuuT sach
Imdad Ali Bahr
Sher
puuchhte ho to suno kaise basar hotii hai
raat KHairaat kii sadqe kii sahar hotii hai
Meena Kumari Naz
Sher
sadqe tire hote hai.n suuraj bhii sitaare bhii
ham kis se kahe.n dil hai siine me.n hamaare bhii
Natiq Lakhnavi
Sher
vo ek shaKHs ki gumnaam thaa KHudaa.ii me.n
tumhaare naam ke sadqe me.n naamvar Thahraa
Hameed Kausar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ham gadaa-e-dar-e-mai-KHaana hai.n ai piir-e-muGaa.n
kaam apnaa tire sadqe me.n chalaa lete hai.n
Sahir Dehlavi
Sher
us pe qurbaan ki jis ne tirii aavaaz sunii
sadqe us aa.nkh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
Auj lakhnavi
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
qadam milaa ke zamaane ke saath chal na sake
bahut sambhal ke chale ham magar sambhal na sake