SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadqe"
Ghazal MATCHES FOR "sadqe"
Ghazal
Jawad Sheikh
Ghazal
ajab apnaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadqe hotii kabhii dil nisaar hotaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.n sadqe
jahaa.n se chaahtaa huu.n tum ko dekhtaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
mirii nazar se tirii justujuu ke sadqe me.n
ye ik jahaa.n hii nahii.n sai.nka.Do.n jahaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Ghazal
tirii shaan-e-taGaaful par mirii barbaadiyaa.n sadqe
jo barbaad-e-tamannaa ho use barbaad rahne de
Bedam Shah Warsi
Ghazal
us se ko.ii nahii.n achchhaa jo tujhe pyaar kare
mai.n bhii achchhaa tire sadqe mirii qismat achchhii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
janaab-e-'miir' kii KHud-Garziyo.n ke sadqe me.n
miyaa.n 'vasiim' ke kahne ko kyaa bachaa yaaro
Waseem Barelvi
Ghazal
kaafii hai mire dil kii tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paiGaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
Arsh Malsiyani
Ghazal
ai dil tire KHuluus ke sadqe! zaraa saa hosh
dushman bhii be-shumaar hai.n yaaro.n ke shahr me.n
Abdul Hamid Adam
Ghazal
'miir' ke sadqe mire harf ko darveshii mile
duur mujh se havas-e-daam-o-diram ho aamiin
Rehman Faris
Ghazal
qurbaa.n tirii aa.nkho.n ke sadqe tarii nazro.n ke
thaa haasil-e-sad-naavak jo zaKHm-e-jigar dekhaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
kyaa chho.De.n asiiraan-e-mohabbat ko vo jis ne
sadqe me.n na ik murG-e-giraftaar bhii chho.Daa
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
kisii kii nuqra.ii paazeb kii jhankaar ke sadqe
mujhe saaraa jahaa.n gaataa hu.aa mahsuus hotaa hai
Qateel Shifai
Ghazal
'momin' mai.n apne naalo.n ke sadqe ki kahte hai.n
un ko bhii aaj nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Ghazal
ye aur baat bahaare.n gurez-paa niklii.n
gulo.n ke ham ne to sadqe bahut utaare the