SEARCH RESULTS
Showing search results for "safho.n"
Sher MATCHES FOR "safho.n"
Sher
zindagii vaqt ke safho.n me.n nihaa.n hai saahab
ye Gazal sirf kitaabo.n me.n nahii.n miltii hai
Nafas Ambalvi
Sher
Maryam Gazala
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
na ham-safar na kisii ham-nashii.n se niklegaa
hamaare paa.nv kaa kaa.nTaa hamii.n se niklegaa
Rahat Indori
Sher
apnii marzii se kahaa.n apne safar ke ham hai.n
ruKH havaa.o.n kaa jidhar kaa hai udhar ke ham hai.n
Nida Fazli
Sher
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
Bashir Badr
Sher
Allama Iqbal
Sher
mahsuus ho rahaa hai ki mai.n KHud safar me.n huu.n
jis din se rail par mai.n tujhe chho.Dne gayaa
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
shaam hote hii khulii sa.Dko.n kii yaad aatii hai
sochtaa roz huu.n mai.n ghar se nahii.n nikluu.ngaa
Shahryar
Sher
Zafar Iqbal
Sher
safar me.n ko.ii kisii ke liye Thahartaa nahii.n
na mu.D ke dekhaa kabhii saahilo.n ko dariyaa ne
Farigh Bukhari
Sher
tum ham-safar hu.e to hu.ii zindagii aziiz
mujh me.n to zindagii kaa ko.ii hausla na thaa