SEARCH RESULTS
Showing search results for "safii"
Sher MATCHES FOR "safii"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Safi Aurangabadi
Sher
mire labo.n kaa tabassum to sab ne dekh liyaa
jo dil pe biit rahii hai vo ko.ii kyaa jaane
Iqbal Safi Puri
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
ko.ii samjhaa.e ki kyaa rang hai maiKHaane kaa
aa.nkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
galii ham ne kahii thii tum to duniyaa chho.De jaate ho
Safi Lakhnavi
Sher
banaavaT ho to aisii ho ki jis se saadgii Tapke
ziyaada ho to aslii husn chhup jaataa hai zevar se
Safi Lakhnavi
Sher
dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa
kyaa jaane kyaa ho parda jo uTThe naqaab kaa
Safi Lakhnavi
Sher
zamiin kii kokh hii zaKHmii nahii.n andhero.n se
hai aasmaa.n ke bhii siine pe aaftaab kaa zaKHm
Ibn-e-Safi
Sher
KHuubsuurat hai vahii jis pe zamaana riijhe
yuu.n to har ek ko hai apnii hii suurat achchhii
Safi Aurangabadi
Sher
paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe
marne ke intizaar me.n jiinaa pa.Daa mujhe
Safi Lakhnavi
Sher
mirii na.ash ke sirhaane vo kha.De ye kah rahe hai.n
ise nii.nd yuu.n na aatii agar intizaar hotaa
Safi Lakhnavi
Sher
chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
raastaa bhuul na jaa.uu.n kahii.n maiKHaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
KHatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adaa
shaa.erii bhii KHatm ho jaatii nubuvvat kii tarah