SEARCH RESULTS
Showing search results for "sahbaa"
Sher MATCHES FOR "sahbaa"
Sher
jis bazm me.n saaGar ho na sahbaa ho na KHum ho
rindo.n ko tasallii hai ki us bazm me.n tum ho
Unknown
Sher
kaarvaa.n ke chalne se kaarvaa.n ke rukne tak
manzile.n nahii.n yaaro raaste badalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
mauj mauj tuufaa.n hai mauj mauj saahil hai
kitne Duub jaate hai.n kitne bach nikalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
yahii sahbaa yahii saaGar yahii paimaana hai
chashm-e-saaqii hai ki mai-KHaane kaa mai-KHaana hai
Saghar Nizami
Sher
agar shu.uur na ho to bahisht hai duniyaa
ba.De azaab me.n guzrii hai aagahii ke saath
Sahba Akhtar
Sher
mere suKHan kii daad bhii us ko hii diijiye
vo jis kii aarzuu mujhe shaa.er banaa ga.ii
Sahba Akhtar
Sher
hame.n KHabar hai zan-e-faahisha hai ye duniyaa
so ham bhii saath ise be-nikaah rakhte hai.n
Sahba Akhtar
Sher
Abdul Rahman Bazmi
Sher
musallaa rakhte hai.n sahbaa-o-jaam rakhte hai.n
faqiir sab ke liye intizaam rakhte hai.n
Wali Aasi
Sher
Sahba Akhtar
Sher
phir dekhiye andaaz-e-gul-afshaanii-e-guftaar
rakh de ko.ii paimaana-e-sahbaa mere aage
Mirza Ghalib
Sher
subuut maa.ng rahe hai.n mirii tabaahii kaa
mujhe tabaah kiyaa jin kii kaj-adaa.ii ne
Sahba Akhtar
Sher
kitne diip bujhte hai.n kitne jalte hai.n
azm-e-zindagii le kar phir bhii log chalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
Sahba Akhtar
Sher
zaahid ho aur taqvaa aabid ho aur musallaa
maalaa ho aur barhaman sahbaa ho aur ham ho.n
Taban Abdul Hai
Sher
shaayad vo sa.ng-dil ho kabhii maa.il-e-karam
suurat na de yaqiin kii is ehtimaal ko