SEARCH RESULTS
Showing search results for "sahn"
Sher MATCHES FOR "sahn"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
gulaabii paa.nv mire champa.ii banaane ko
kisii ne sahn me.n meh.ndii kii baa.D ugaa.ii ho
Parveen Shakir
Sher
aa.o to mere sahn me.n ho jaa.e raushnii
muddat guzar ga.ii hai charaaGaa.n kiye hu.e
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
barq ne meraa nasheman na jalaayaa ho kahii.n
sahn-e-gulshan me.n ujaalaa hai KHudaa KHair kare
Khalish Akbarabadi
Sher
barso.n se is me.n phal nahii.n aa.e to kyaa hu.aa
saaya to ab bhii sahn ke kohna shajar me.n hai
Akhtar Bastavi
Sher
chho.D kar mujh ko tire sahn mai.n jaa baiThaa hai
pa.D ga.ii jaise tire saaya-e-diivaar mai.n jaan
Afzal Khan
Sher
baad-e-shaam aa.e mahak uTThe miraa sahn riyaaz
be-mahak jhaa.Diyo.n se raat kii raanii nikle
Riaz Majeed
Sher
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyaat qadam
bahut qariib KHudaa hai zaraa sa.nbhal ke chalo
adil zaidi
Sher
shabnam tumhaare sahn me.n ro.ii tamaam raat
lekin har ek phuul kaa chehra nikhar gayaa
Neelma Naheed Durrani
Sher
Gol ke Gol mire sahn me.n aa baiThte hai.n
ye parinde mujhe hijrat nahii.n karne dete
Noman Badr
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
Kaifi Azmi
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
aa.nkh se duur sahii dil se kahaa.n jaa.egaa
jaane vaale tuu hame.n yaad bahut aa.egaa