SEARCH RESULTS
Showing search results for "said-e-bismil"
Sher MATCHES FOR "said-e-bismil"
Sher
kahaa.n tamaam hu.ii daastaan 'bismil' kii
bahut sii baat to kahne ko rah ga.ii ai dost
Bismil Azimabadi
Sher
ham bhii usii ke saath ga.e hosh se 'sa.iid'
lamha jo qaid-e-vaqt se baahar chalaa gayaa
Saeed Ahmad
Sher
zaraa sii baat par said-e-Gubaar-e-yaas honaa
hame.n barbaad kar degaa bahut hassaas honaa
Jaleel 'Aali'
Sher
luu ho sabaa ho yaa purvaa.ii sab ke saath chalo
sab hai.n said-e-rah-e-tanhaa.ii sab ke saath chalo
Habeeb Fakhri
Sher
dil sadaa ta.Dpe hai meraa murG-e-bismil kii tarah
yaa ki siikhii murG-e-bismil ne mire dil kii tarah
Roy Sarb Sukh Diwana
Sher
tum kaho tum bhii ta.Dapte ho ta'alluq ke ta.ii.n
yaa mire hii dil-e-bismil kii ye biimaarii hai
Asif Bilal
Sher
sailaab-e-tabassum se darmaan-e-jaraahat kar
Tuk.De dil-e-bismil ke aaluuda-e-KHuu.n kab tak
Saghar Nizami
Sher
afsaana mohabbat kaa puuraa ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qaatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
Aleem Masroor
Sher
Anwar Sadeed
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
'saajid' tuu phir se KHaana-e-dil me.n talaash kar
mumkin hai ko.ii yaad puraanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
'saif' andaaz-e-bayaa.n rang badal detaa hai
varna duniyaa me.n ko.ii baat na.ii baat nahii.n
Saifuddin Saif
Sher
jis ke vaaste barso.n sa.i-e-raa.egaa.n kii hai
ab use bhulaane kii sa.i-e-raa.egaa.n kar le.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
baal ruKHsaaro.n se jab us ne haTaa.e to khulaa
do fara.ngii sair ko nikle hai.n mulk-e-shaam se
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai