SEARCH RESULTS
Showing search results for "sair-tan"
Sher MATCHES FOR "sair-tan"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
tuu saraapaa ajr ai zaahid mai.n sar-taa-paa gunaah
baaG-e-jannat terii KHaatir karbalaa mere liye
Meer Anees
Sher
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaa.n hai magar
us me.n shola na sharaara na dhu.aa.n hotaa hai
Amir Usmani
Sher
dil to.Dne vaale ko KHabar ho ki abhii mai.n
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-biimaar nahii.n huu.n
Khalid Khwaja
Sher
tajalliyo.n kaa ye aalam ye shaan-e-ra.anaa.ii
banaa hu.aa huu.n ze-sar-taa-qadam tamaashaa.ii
Nudrat Kanpuri
Sher
ik jast me.n to ko.ii na pahu.nchaa kamaal tak
ik umr sar khapaa ke hii jo kuchh milaa milaa
Saeed-ul-Zafar Chughtai
Sher
bah chukaa KHuun-e-dil aa.nkh tak aa pahu.nchaa sail
ro.e jaa aur bhii ai diida-e-tar dekhe.n to
Mirza Zahirddin Azfari
Sher
dil Duub gayaa TuuT gayaa sabr kaa la.ngar
ho kashtii-e-tan kyuu.n na pareshaan-e-talaatum
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sabr kab tak raah paidaa ho ki ai dil jaan jaa.e
ek Takkar maar kar sar pho.D yaa diivaar to.D
Muneer Shikohabadi
Sher
duur tak ek KHalaa hai so KHalaa ke andar
sirf tanhaa.ii kii suurat hii nazar aa.egii
Sabir Zafar
Sher
aate hu.e is tan me.n na jaate hu.e tan se
hai jaan-e-makii.n ko na lagaavaT na rukaavaT
Sahir Dehlavi
Sher
daaman-e-sabr ke har taar se uThtaa hai dhu.aa.n
aur har zaKHm pe ha.ngaama uThaa aaj bhii hai