SEARCH RESULTS
Showing search results for "sajaat"
Sher MATCHES FOR "sajaat"
Sher
saat sanduuqo.n me.n bhar kar dafn kar do nafrate.n
aaj insaa.n ko mohabbat kii zaruurat hai bahut
Bashir Badr
Sher
Ibn e Insha
Sher
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
sunaa hai Gair kii mahfil me.n tum na jaa.oge
kaho to aaj sajaa luu.n Gariib-KHaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
de hausle kii daad ke ham tere Gam me.n aaj
baiThe hai.n mahfilo.n ko sajaa.e tire baGair
Adeel Zaidi
Sher
aa.nkho.n se vo kabhii mirii ojhal nahii.n rahaa
Gaafil mai.n us kii yaad se ik pal nahii.n rahaa
Saadat Saeed
Sher
raat din gardish me.n hai.n saat aasmaa.n
ho rahegaa kuchh na kuchh ghabraa.e.n kyaa
Mirza Ghalib
Sher
dil-girafta hii sahii bazm sajaa lii jaa.e
yaad-e-jaanaa.n se ko.ii shaam na KHaalii jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
hafte me.n hai.n din saat magar saat dino.n me.n
sirf ek hii itvaar hai maaluum nahii.n kyuu.n
Kishan lal Khandaan Dehlvi
Sher
sajnii kii aa.nkho.n me.n chhup kar jab jhaa.nkaa
bin holii khele hii saajan bhiig gayaa
Musavvir Sabzwari
Sher
ham us kii zulf kii zanjiir me.n hu.e hai.n asiir
sajan ke sar kii balaa aa pa.Dii hamaare gale