SEARCH RESULTS
Showing search results for "sajda-e-niyaaz"
Sher MATCHES FOR "sajda-e-niyaaz"
Sher
vaa.n sajda-e-niyaaz kii miTTii KHaraab hai
jab tak ki aab-e-diida se taaza vazuu na ho
Ismail Merathi
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
kisii se shikva-e-mahruumii-e-niyaaz na kar
ye dekh le ki tirii aarzuu to KHaam nahii.n
Figar Unnavi
Sher
sajde ta.Dap rahe hai.n jabiin-e-niyaaz me.n
sar hai.n kisii kii zulf kaa saudaa liye hu.e
Ada Jafarey
Sher
qubuul ho ki na ho sajda o salaam apnaa
tumhaare bande hai.n ham bandagii hai kaam apnaa
Mubarak Azimabadi
Sher
sajda-e-ishq pe tanqiid na kar ai vaa.iz
dekh maathe pe abhii chaa.nd numaayaa.n hogaa
Siraj Lakhnavi
Sher
adaa hu.aa na kabhii mujh se ek sajda-e-shukr
mai.n kis zabaa.n se karuu.ngaa shikaayate.n terii
Anjum Irfani
Sher
us aastaa.n pe sajda kaa bhii kuchh rahaa na hosh
allaah-re iztiraab jabiin-e-niyaaz kaa
Mirza Ehsan Beg
Sher
aastaa.n bhii ko.ii mil jaa.egaa ai zauq-e-niyaaz
sar salaamat hai to sajda bhii adaa ho jaa.egaa
Jigar Barelvi
Sher
ijz-o-niyaaz apnaa apnii taraf hai saaraa
is musht-e-KHaak ko ham masjuud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
raaz-o-niyaaz me.n bhii aka.D-fuu.n nahii.n ga.ii
vo KHat bhii likh rahaa hai to chaalaan kii tarah
Sarfaraz Shahid
Sher
Allama Iqbal
Sher
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
Zaheer Dehlvi
Sher
naaz ne phir kiyaa aaGaaz vo andaaz-e-niyaaz
husn-e-jaa.n-soz ko phir soz kaa da.avaa hai vahii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
hariif-e-matlab-e-mushkil nahii.n fusuun-e-niyaaz
du.aa qubuul ho yaa rab ki umr-e-KHizr daraaz!