SEARCH RESULTS
Showing search results for "samay"
Sher MATCHES FOR "samay"
Sher
yahii milne kaa samay bhii hai bichha.Dne kaa bhii
mujh ko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad
Krishn Bihari Noor
Sher
dekhaa na hogaa tuu ne magar intizaar me.n
chalte hu.e samay ko Thaharte hu.e bhii dekh
Mohammad Alvi
Sher
vo the javaab ke saahil pe muntazir lekin
samay kii naav me.n meraa savaal Duub gayaa
Bekal Utsahi
Sher
Pallav Mishra
Sher
Unknown
Sher
jaane kyaa barsaa thaa raat charaaGo.n se
bhor samay suuraj bhii paanii paanii hai
Ambar Bahraichi
Sher
ye log jaa ke kaTii bogiyo.n me.n baiTh ga.e
samay ko rail kii paTrii ke saath chalne diyaa
Azhar Faragh
Sher
bahaar ab ke jo guzrii to phir na aa.egii
bichha.Dne vaale bichha.Dte samay ye kah ga.e hai.n
Tahseen Firaqi
Sher
class-room me.n itnaa samay nahii.n hotaa
ye saaniha tumhe.n ghar se banaa ke laanaa thaa
Aqeel Abbas
Sher
agar na to.Dtaa baisaakhiyaa.n hamaarii samay
ham apne pairo.n pe shaayad kha.De na ho paate
Praveen Sharma Shajar
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
apne saamaan ko baa.ndhe hu.e is soch me.n huu.n
jo kahii.n ke nahii.n rahte vo kahaa.n jaate hai.n
Jawad Sheikh
Sher
shadiid dhuup me.n saare daraKHt suukh ga.e
bas ik du.aa kaa shajar thaa jo be-samar na hu.aa
Aleena Itrat
Sher
chand tasviir-e-butaa.n chand hasiino.n ke KHutuut
ba.ad marne ke mire ghar se ye saamaa.n niklaa
Bazm Akbarabadi
Sher
yuu.n barastii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barsaat kii rim-jhim me.n samaa.n hotaa hai