SEARCH RESULTS
Showing search results for "samete"
Sher MATCHES FOR "samete"
Sher
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Sher
guzar rahaa huu.n kisii KHvaab ke ilaaqe se
zamii.n sameTe hu.e aasmaa.n uThaa.e hu.e
Aziz Nabeel
Sher
hazaar dard sameTe hu.e huu.n ik dil me.n
bikhar ga.ii jo mirii daastaa.n to kyaa hogaa
Masooda Hayat
Sher
par sameTe KHud hii baiThaa hai parinda ik taraf
jo qafas me.n hii nahii.n us ko rihaa kaise karuu.n
Aisha Ayub
Sher
Azm Bahzad
Sher
nikal gayaa thaa vo hasiin apnii zulf baa.ndh kar
havaa kii baaqiyaat ko sameTte rahe hai.n ham
Azhar Faragh
Sher
bikhar gayaa huu.n mai.n rishto.n kii Dor se kaT kar
ko.ii to aa ke sameTe idhar-udhar se mujhe
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
Dar ham ko bhii lagtaa hai raste ke sannaaTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
'mus.hafii' ham to ye samjhe the ki hogaa ko.ii zaKHm
tere dil me.n to bahut kaam rafuu kaa niklaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yaa-rab vo na samjhe hai.n na samjhe.nge mirii baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabaa.n aur
Mirza Ghalib
Sher
ye baat tark-e-ta.alluq ke baa'd ham samjhe
kisii se tark-e-ta.alluq bhii ik ta'alluq hai
Unknown
Sher
ham to samjhe the ki barsaat me.n barsegii sharaab
aa.ii barsaat to barsaat ne dil to.D diyaa