SEARCH RESULTS
Showing search results for "samete"
Ghazal MATCHES FOR "samete"
Ghazal
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Ghazal
apne bikhre hu.e Tuk.Do.n ko sameTe kab tak??
ek insaan kii KHaatir ko.ii kitnaa TuuTe
Jawad Sheikh
Ghazal
Azm Bahzad
Ghazal
ab kyaa bataa.e.n TuuTe hai.n kitne kahaa.n se ham
KHud ko sameTte hai.n yahaa.n se vahaa.n se ham
Rajesh Reddy
Ghazal
'shakiil' mujh ko sameTe ko.ii zamaane tak
bikhar ke chaaro.n taraf merii zaat rah jaa.e
Shakeel Azmi
Ghazal
tirii bikhrii hu.ii duniyaa sameTe jaa rahaa huu.n
agar mujhko kisii din KHud bikharnaa pa.D gayaa to
Asim Wasti
Ghazal
jo par sameTe to ik shaaKH bhii nahii.n paa.ii
khule the par to miraa aasmaan thaa saaraa
Javed Akhtar
Ghazal
past itnii to na thii merii shikast ai yaaro
par sameTe hai.n magar hasrat parvaaz ke saath
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mai.n apnii zaat me.n taariikiyaa.n sameTe huu.n
tuu ik charaaG jalaa aur ab yahaa.n se nikal
Abhishek Shukla
Ghazal
aa.nkho.n me.n sauGaat sameTe apne ghar aate hai.n
bajre laage bandar-gaah pe saudaagar aate hai.n
Sarvat Husain
Ghazal
mai.n sadqe tujh pe adaa tere muskuraane kii
sameTe letii hai ra.ngiiniyaa.n zamaane kii
Jameel Mazhari
Ghazal
jab jaal machhere ne sameTaa hai alassub.h
TuuTaa hu.aa ik chaa.nd bhii taalaab se niklaa
Aziz Nabeel
Ghazal
saare shajar shaadaabii sameTe apnii apnii
dhuup me.n gahraa saaya kar ke baiTh ga.e hai.n
Abdul Hamid
Ghazal
hazaaro.n rang sameTe hu.e hai aa.nkho.n me.n
vo shaa.irii kii mukammal kitaab jaisaa hai
Roop Sagar
Ghazal
apnii duniyaa ke mah-o-mehr sameTe sar-e-shaam
kar gayaa jaada-e-fardaa ke havaale mujhe ko.ii
Iftikhar Arif
Ghazal
badan kii KHaak sameTe hu.e ho kyaa logo
safar me.n lamha-e-tark-e-safar bhii aataa hai
Ummeed Fazli
Ghazal
kaaTii tamaam umr fareb-e-bahaar me.n
kaa.nTe sameTte rahe phuulo.n ke naam se