SEARCH RESULTS
Showing search results for "sametne"
Sher MATCHES FOR "sametne"
Sher
ye kaar-e-zindagii thaa to karnaa pa.Daa mujhe
KHud ko sameTne me.n bikharnaa pa.Daa mujhe
Ameer Imam
Sher
sameTne me.n lage hai.n ham apnii saa.nso.n ko
ye jaante hai.n ki ik din bikher degaa ko.ii
Salim Saleem
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
faasle aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
Adeem Hashmi
Sher
saamne hai jo use log buraa kahte hai.n
jis ko dekhaa hii nahii.n us ko KHudaa kahte hai.n
Sudarshan Faakir
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
kal saamne manzil thii piichhe mirii aavaaze.n
chaltaa to bichha.D jaataa ruktaa to safar jaataa
Azm Bahzad
Sher
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Sher
tuu saamne hai to phir kyuu.n yaqii.n nahii.n aataa
ye baar baar jo aa.nkho.n ko mal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham
kahne me.n un ke saamne baat badal badal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
saamne umr pa.Dii hai shab-e-tanhaa.ii kii
vo mujhe chho.D gayaa shaam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Sher
rahtaa thaa saamne tiraa chehra khulaa hu.aa
pa.Dhtaa thaa mai.n kitaab yahii har class me.n