SEARCH RESULTS
Showing search results for "samjhaa.e"
Sher MATCHES FOR "samjhaa.e"
Sher
ko.ii samjhaa.e ki kyaa rang hai maiKHaane kaa
aa.nkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
ab tum bhii zaraa husn-e-jahaa.n-soz ko roko
ham to dil-e-betaab ko samjhaa.e hu.e hai.n
Kaifi Chirayyakoti
Sher
faa.eda kyaa hai nasiihat se phire ho naaseh
ham samajhne ke nahii.n laakh tuu samjhaa.e hame.n
Asifud Daula
Sher
'aajiz' kii hai.n ulTii baate.n kaun use samjhaa.e
dhuup ko paagal kahe a.ndheraa din ko raat bataa.e
Kaleem Aajiz
Sher
tum ko samjhaa.e 'mubaarak' ko.ii kyuu.nkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhii samjhaane se
Mubarak Azimabadi
Sher
kyaa kyaa rog lage hai.n dil ko kyaa kyaa un ke bhed
ham sab ko samjhaane vaale kaun hame.n samjhaa.e
Jameeluddin Aali
Sher
Iqbal Azeem
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
ko.ii hayaat ke ma.anii bataa ke samjhaa.e
taviil kyaa hai bhalaa muKHtasar kaa kyaa matlab
Sandeep Gupte
Sher
kis ko fursat hai jo harfo.n kii haraarat samjhaa.e
baat aasaanii tak aa.e to sabhii tak pahu.nche
Navin C. Chaturvedi
Sher
savaal ye nahii.n kis kis ko ko.ii samjhaa.e
savaal ye hai ki kyaa kyaa samajh rahaa hai ko.ii
Sandeep Gupte
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa