SEARCH RESULTS
Showing search results for "samt"
Sher MATCHES FOR "samt"
Sher
ik tujh ko dekhne ke liye bazm me.n mujhe
auro.n kii samt maslahatan dekhnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
nazar me.n duur talak rahguzar zaruurii hai
kisii bhii samt ho lekin safar zaruurii hai
Obaidur Rahman
Sher
jis samt bhii dekhuu.n nazar aataa hai ki tum ho
ai jaan-e-jahaa.n ye ko.ii tum saa hai ki tum ho
Ahmad Faraz
Sher
ye alag baat ki mai.n nuuh nahii.n thaa lekin
mai.n ne kashtii ko Galat samt me.n bahne na diyaa
Azhar Inayati
Sher
jis samt kii havaa hai usii samt chal pa.De.n
jab kuchh na ho sakaa to yahii faisla kiyaa
Yasmeen Hameed
Sher
ham apnii dhartii se apnii har samt KHud talaashe.n
hamaarii KHaatir ko.ii sitaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
phuulo.n kii taazgii hii nahii.n dekhne kii chiiz
kaa.nTo.n kii samt bhii to nigaahe.n uThaa ke dekh
Asad Badayuni
Sher
tiraa diidaar ho aa.nkhe.n kisii bhii samt dekhe.n
so har chehre me.n ab terii shabaahat chaahiye hai
Farhat Nadeem Humayun
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize
Mohsin Naqvi
Sher
dil ajab shahr ki jis par bhii khulaa dar is kaa
vo musaafir ise har samt se barbaad kare
Parveen Shakir
Sher
itnii to diid-e-ishq kii taasiir dekhiye
jis samt dekhiye tirii tasviir dekhiye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
dil me.n rakh zaKHm-e-navaa raah me.n kaam aa.egaa
dasht-e-be-samt me.n ik huu kaa maqaam aa.egaa
Zafar Ghauri
Sher
manzil kii samt kab se safar kar rahe hai.n ham
lekin jo faasle the vo ab tak na kam hu.e
Mehr Akbarabadi
Sher
Akhtar Saeed Khan
Sher
apnii parvaaz ko mai.n samt bhii KHud hii duu.ngaa
tuu mujhe apnii rivaayaat kaa paaband na kar
Nami Ansari
Sher
apne hii aap se is tarah hu.e hai.n ruKHsat
saa.ns ko chho.D diyaa jis samt bhii jaanaa chaahe
Kumar Vishwas
Sher
ku.n.e.n kii samt bulaa le na ko.ii KHvaab mujhe
mai.n apne baap kaa sab se hasiin beTaa huu.n