SEARCH RESULTS
Showing search results for "saqaafat"
Sher MATCHES FOR "saqaafat"
Sher
merii Gurbat ko sharaafat kaa abhii naam na de
vaqt badlaa to tirii raa.e badal jaa.egii
Nida Fazli
Sher
phuul the rang the lamho.n kii sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine kii alaamat ham the
Aitbar Sajid
Sher
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na ba.Dhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahii.n kaa na rakhaa
Rais Amrohvi
Sher
kisii badan kii sayaahat niDhaal kartii hai
kisii ke haath kaa takiya thakaan khii.nchtaa hai
Azhar Faragh
Sher
tum sharaafat kahaa.n baazaar me.n le aa.e ho
ye vo sikka hai jo barso.n se nahii.n chaltaa hai
Moin Shadab
Sher
mai.n jo aayaa Gair se hans kar kahaa us ne 'jalaal'
KHatm hai jis par sharaafat vo kamiina aa gayaa
Jalal Lakhnavi
Sher
aKHlaaq o sharaafat kaa a.ndheraa hai vo ghar me.n
jalte nahii.n ma.asuum gunaaho.n ke diye bhii
Fuzail Jafri
Sher
kis kis ko bataa.uu.n ki mai.n buzdil nahii.n 'raaGib'
is daur me.n mafhuum-e-sharaafat hii alag hai
Iftikhar Raghib
Sher
Zubair Rizvi
Sher
sabza-zaaro.n kii sharaafat se na khelo qat.an
tum havaa ho to KHalaa.o.n se lipaT kar dekho