SEARCH RESULTS
Showing search results for "sar-anjaam"
Sher MATCHES FOR "sar-anjaam"
Sher
hastii se taa-adam hai safar do qadam kii raah
kyaa chaahiye hai ham ko sar anjaam ke liye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
vahshat-e-hijr bhii tanhaa.ii bhii mai.n bhii 'anjum'
jab ikaTThe hu.e sab ek Gazal aur kahii
Anjum Khaleeq
Sher
is ne dekhaa hai sar-e-bazm sitamgar kii tarah
phuul phe.nkaa bhii mirii samt to patthar kii tarah
Anjum Irfani
Sher
jab apnii sar-zamiin ne mujh ko na dii panaah
anjaan vaadiyo.n me.n utarnaa pa.Daa mujhe
Adeel Zaidi
Sher
ye sab maah-o-anjum mire vaaste hai.n
magar is zamii.n par mai.n qaid-e-jahaa.n huu.n
Raghib Dehlvi
Sher
misaal-e-charKH rahaa aasmaa.n sar-gardaa.n
par aaj tak na khulaa ye ki justujuu kyaa hai
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
Guncha o gul maah o anjum sab ke sab bekaar the
aap kyaa aa.e ki phir mausam suhaanaa aa gayaa
Asad Bhopali
Sher
sach kahne kaa aaKHir ye anjaam hu.aa
saarii bastii me.n mai.n hii badnaam hu.aa
Amit Sharma Meet
Sher
maa.n mujhe dekh ke naaraaz na ho jaa.e kahii.n
sar pe aa.nchal nahii.n hotaa hai to Dar hotaa hai
Anjum Rehbar
Sher
bujhne de sab diye mujhe tanhaa.ii chaahiye
kuchh der ke liye mujhe tanhaa.ii chaahiye
Anjum Saleemi
Sher
saaf aataa hai nazar anjaam har aaGaaz kaa
zindagaanii maut kii tamhiid hai mere liye
Tilok Chand Mahroom
Sher
tuu mire sabr kaa andaaza lagaa saktaa hai
terii sohbat me.n tiraa hijr guzaaraa hai miyaa.n