SEARCH RESULTS
Showing search results for "saraabaa.n"
Sher MATCHES FOR "saraabaa.n"
Sher
ai 'zauq' takalluf me.n hai takliif saraasar
aaraam me.n hai vo jo takalluf nahii.n kartaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
sham-e-KHema ko.ii zanjiir nahii.n ham-safaraa.n
jis ko jaanaa hai chalaa jaa.e ijaazat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
sunte hai.n chamaktaa hai vo chaa.nd ab bhii sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh le.n ham bhii
Zuhoor Nazar
Sher
chalaa thaa mai.n to samundar kii tishnagii le kar
milaa ye kaisaa saraabo.n kaa silsila mujh ko
Urfi Aafaqi
Sher
nashsha thaa zindagii kaa sharaabo.n se tez-tar
ham gir pa.De to maut uThaa le ga.ii hame.n
Irfan Ahmad
Sher
ham aaj kuchh hasiin saraabo.n me.n kho ga.e
aa.nkhe.n khulii.n to jaagte KHvaabo.n me.n kho ga.e
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
ham vo sahraa ke musaafir hai.n abhii tak jin kii
pyaas bujhtii hai saraabo.n kii kahaanii sun kar
Bharat Bhushan Pant
Sher
Jaun Eliya
Sher
zikr meraa hii vo kartaa thaa sariihan lekin
mai.n ne puuchhaa to kahaa KHair ye mazkuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
jab saraabo.n pe qanaa.at kaa saliiqa aayaa
ret ko haath lagaayaa to vahii.n paanii thii
Muzaffar Hanfi
Sher
ret par jalte hu.e dekh saraabo.n ke charaaG
apne bikhraav me.n vo aur sa.nvar jaataa hai
Hanif Tarin
Sher
Mukhtar Siddiqui
Sher
Afzal Allahabadi
Sher
ai chashm jo ye ashk tuu bhar laa.ii hai kam-baKHt
is me.n to saraasar mirii rusvaa.ii hai kam-baKHt
Nazeer Akbarabadi
Sher
nikal ke aa to gayaa gahre paaniyo.n se magar
ka.ii tarah ke saraabo.n ne mujh ko gher liyaa
Bismil Sabri
Sher
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaa.n hai magar
us me.n shola na sharaara na dhu.aa.n hotaa hai
Amir Usmani
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai