SEARCH RESULTS
Showing search results for "saraabo"
Sher MATCHES FOR "saraabo"
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
ham ko bhii KHush-numaa nazar aa.ii hai zindagii
jaise saraab duur se dariyaa dikhaa.ii de
Mahshar Badayuni
Sher
chalaa thaa mai.n to samundar kii tishnagii le kar
milaa ye kaisaa saraabo.n kaa silsila mujh ko
Urfi Aafaqi
Sher
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiiragii
saahab-e-iKHtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
Pirzada Qasim
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud pa.De ham saraab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
na puuchho ham-safaro mujh se maajraa-e-vatan
vatan hai mujh pe fidaa aur mai.n fidaa-e-vatan
Mardan Ali Khan Rana
Sher
itnii kuduurat ashk me.n hairaa.n huu.n kyaa kahuu.n
dariyaa me.n hai saraab ki dariyaa saraab me.n
Momin Khan Momin
Sher
'faraaz' tuu ne use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaana saahab-e-zar aur sirf shaa.er tuu
Ahmad Faraz
Sher
vo saamne hai.n magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ki dariyaa saraab jaisaa hai
Unknown
Sher
ham ye to nahii.n kahte ki Gam kah nahii.n sakte
par jo sabab-e-Gum hai vo ham kah nahii.n sakte
Bahadur Shah Zafar
Sher
ham aaj kuchh hasiin saraabo.n me.n kho ga.e
aa.nkhe.n khulii.n to jaagte KHvaabo.n me.n kho ga.e
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
so merii pyaas kaa dono.n taraf ilaaj nahii.n
udhar hai ek samundar idhar hai ek saraab
Anjum Khaleeq
Sher
ham vo sahraa ke musaafir hai.n abhii tak jin kii
pyaas bujhtii hai saraabo.n kii kahaanii sun kar