SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarf-e-jaam"
Sher MATCHES FOR "sarf-e-jaam"
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Amir Hamza Saqib
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
jo saaya-daar shajar the vo sarf-e-daar hu.e
dikhaa.ii dete nahii.n duur duur tak saa.e
Mubarak Shamim
Sher
kahte hu.e saaqii se hayaa aatii hai varna
hai yuu.n ki mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai
Mirza Ghalib
Sher
ye tirii mast-nigaahii ye faroG-e-mai-o-jaam
aaj saaqii tire rindo.n se adab mushkil hai
Bahauddin Kaleem
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe
Zehra Nigaah
Sher
ishq ke dard kaa KHud ishq ko ehsaas nahii.n
khi.nch gayaa baade se bhii durd-e-tah-e-jaam bahut
Firaq Gorakhpuri
Sher
gul khilaa.e na kahii.n fitna-e-dauraa.n kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jaam se jii Dartaa hai
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
Khursheed Rizvi
Sher
sarf-e-sujuud kar ke jabiin-e-nazar ko mai.n
me.araaj de rahaa huu.n tire sa.ng-e-dar ko mai.n
Raqim Lakhnavi
Sher
Talib Ansari
Sher
kyaa KHabar hai ham se mahjuuro.n kii un ko roz-e-iid
jo gale mil kar baham sarf-e-mubaarakbaad hai.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-du.aa na kar
aate hai.n zindagii me.n ye aalam kabhii kabhii
Shakeel Badayuni
Sher
ye mai-KHaana hai bazm-e-jam nahii.n hai
yahaa.n ko.ii kisii se kam nahii.n hai