SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarkaar"
Sher MATCHES FOR "sarkaar"
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Sher
le lo bosa apnaa vaapas kis liye takraar kii
kyaa ko.ii jaagiir ham ne chhiin lii sarkaar kii
Akbar merthi
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
jalte diyo.n me.n jalte gharo.n jaisii zau kahaa.n
sarkaar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Sher
kaam auro.n ke jaarii rahe.n naakaam rahe.n ham
ab aap kii sarkaar me.n kyaa kaam hamaaraa
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
girte hai.n log garmii-e-baazaar dekh kar
sarkaar dekh kar mirii sarkaar dekh kar
Abdul Hamid Adam
Sher
kis soch me.n hai.n aa.ine ko aap dekh kar
merii taraf to dekhiye sarkaar kyaa hu.aa
Anwar Dehlvi
Sher
dono.n ruKHsaar inaayat kare.n ik ik bosa
aashiqo.n ke liye sarkaar se chandaa ho jaa.e
Hatim Ali Mehr
Sher
ruKHsat hu.aa shabaab to ab aap aa.e hai.n
ab aap hii bataa.iye sarkaar kyaa kare.n
Ameer Chand Bahar
Sher
aage mire na Gair se go tum ne baat kii
sarkaar kii nazar ko to pahchaantaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
ye nahii.n hai ki navaaze na ga.e ho.n ham log
ham ko sarkaar se tamGa milaa rusvaa.ii kaa
Saleem Ahmed
Sher
phirte hai.n ka.ii qais se hairaan o pareshaan
is ishq kii sarkaar me.n bahbuud nahii.n hai
Joshish Azimabadi
Sher
Anwari Jahan Begum Hijab
Sher
tanKHvaah ek bosa hai tis par ye hujjate.n
hai naa-dahind aap kii sarkaar be-tarah
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
aa ai 'asar' mulaazim-e-sarkaar-e-girya ho
yaa.n juz guhar KHazaane me.n tanKHvaah hii nahii.n
Qayem Chaandpuri
Sher
sar yuu.n jhukte chale jaate hai.n ki gir hii na pa.De.n
aisii 'izzat mire sarkaar burii lagtii hai