SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarv"
Sher MATCHES FOR "sarv"
Sher
saa.e kii tarah saath phire.n sarv o sanobar
tuu is qad-e-dilkash se jo gulzaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
ai sarv-e-gul-chaman tuu zaraa Tuk chaman me.n aa
jyuu.n gul shagufta ho ke mirii anjuman me.n aa
Abul Hasan Tana Shah
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
qad me.n to kar chukaa thaa vo ahmaq baraabarii
majbuur sarv ko tirii raftaar ne kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
qad sarv chashm nargis ruKH gul dahaan Guncha
kartaa huu.n dekh tum kuu.n sair-e-chaman mamolaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
dekh use ra.ng-e-bahaar o sarv o gul aur juu.ebaar
ik u.Daa ik gir gayaa ik jal gayaa ik bah gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
dekhe na mujhe kyuu.nkar az-chashm-e-hiqaarat-uu
vo sarv-e-javaa.n yaaro man-faaKHta-e-piiram
Nazeer Akbarabadi
Sher
ham dikhaa.e.nge tamaasha tujh ko phir sarv-e-chaman
dil se gar sarzad hamaare naala-e-mauzuu.n hu.aa
Shah Naseer
Sher
tiraa qad sarv sii.n KHuubii me.n cha.Dh hai
laTak sumbul setii zulfaa.n sii.n ba.Dh hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
hamesha mai-kade me.n KHush-qado.n kaa majma.a hai
hazaaro.n sarv lage hai.n kanaar-e-juu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
KHush-qado.n se kabhii aalam na rahegaa KHaalii
is chaman se jo gayaa sarv to shamshaad aayaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
sarv ko dekh ke kahtaa hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftaar hai.n is baaG me.n aazaad hai.n sab
Amanat Lakhnavi
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mumkin nahii.n Gazab se bache.n ham janaab ke
baalishtiyo.n ko bhii na agar sarv saa likhe.n