SEARCH RESULTS
Showing search results for "sazaa"
Sher MATCHES FOR "sazaa"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
miraa zamiir bahut hai mujhe sazaa ke liye
tuu dost hai to nasiihat na kar KHudaa ke liye
Shaz Tamkanat
Sher
yaa to jo naa-fahm hai.n vo bolte hai.n in dino.n
yaa jinhe.n KHaamosh rahne kii sazaa ma.aluum hai
Shuja Khaavar
Sher
iqraar hai ki dil se tumhe.n chaahte hai.n ham
kuchh is gunaah kii bhii sazaa hai tumhaare paas
Hasrat Mohani
Sher
mujh ko mirii shikast kii dohrii sazaa milii
tujh se bichha.D ke zindagii duniyaa se jaa milii
Saqi Faruqi
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
bulaa.uu.ngaa na miluu.ngaa na KHat likhuu.ngaa tujhe
tirii KHushii ke liye KHud ko ye sazaa duu.ngaa
Nasir Kazmi
Sher
Gaur se dekhte rahne kii sazaa paa.ii hai
terii tasviir in aa.nkho.n me.n utar aa.ii hai