SEARCH RESULTS
Showing search results for "server"
Sher MATCHES FOR "server"
Sher
aarzuu hasrat aur ummiid shikaayat aa.nsuu
ik tiraa zikr thaa aur biich me.n kyaa kyaa niklaa
Sarwar Alam Raz
Sher
shauq hai tujh ko zamaane me.n tiraa naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat mirii bad-naam na ho
Sarwar Alam Raz
Sher
be-kaif javaanii hai be-dard zamaana hai
naakaam-e-mohabbat kaa itnaa hii fasaana hai
Sarwar Alam Raz
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
Sarwar Alam Raz
Sher
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahii.n
kal jo tere dil me.n thaa vo aaj mere dil me.n hai
Sarwar Alam Raz
Sher
tuu ne kab ishq me.n achchhaa buraa sochaa 'sarvar'
kaise mumkin hai ki teraa buraa anjaam na ho
Sarwar Alam Raz
Sher
aashiqii kii KHair ho 'sarvar' ki ab is shahr me.n
vaqt vo aayaa hai bande bhii KHudaa hone lage
Sarwar Alam Raz
Sher
kam-ayaarii ne KHudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek KHudaa bhuul ga.e
Sarwar Alam Raz
Sher
ai sarv-e-gul-chaman tuu zaraa Tuk chaman me.n aa
jyuu.n gul shagufta ho ke mirii anjuman me.n aa
Abul Hasan Tana Shah
Sher
bayaan qissa-e-bechaargii kiyaa jaa.e
jo dil kii rah ga.ii dil me.n use kahaa jaa.e
Sarwar Alam Raz
Sher
aate jaate mausamo.n kaa silsila baaqii rahe
roz ham milte rahe.n aur faasla baaqii rahe
Sarvar Usmani
Sher
dekhe na mujhe kyuu.nkar az-chashm-e-hiqaarat-uu
vo sarv-e-javaa.n yaaro man-faaKHta-e-piiram
Nazeer Akbarabadi
Sher
ham dikhaa.e.nge tamaasha tujh ko phir sarv-e-chaman
dil se gar sarzad hamaare naala-e-mauzuu.n hu.aa
Shah Naseer
Sher
Husna Sarwar
Sher
shahr-dar-shahr bhaTakte hii rahe umr tamaam
kyaa tire haath kii rekhaa.o.n me.n aaraam nahii.n
Husna Sarwar
Sher
baiThe baiThe yuu.n hii tanhaa.ii ke sahraa.o.n me.n
dard kii ret pe likhte hai.n tiraa naam aksar