SEARCH RESULTS
Showing search results for "seva-e-foras"
Sher MATCHES FOR "seva-e-foras"
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
'faraaz' tark-e-ta.alluq to KHair kyaa hogaa
yahii bahut hai ki kam kam milaa karo us se
Ahmad Faraz
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
kabhii 'faraaz' se aa kar milo jo vaqt mile
ye shaKHs KHuub hai ash.aar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
ba-zaahir ek hii shab hai firaaq-e-yaar magar
ko.ii guzaarne baiThe to umr saarii lage
Ahmad Faraz
Sher
bahut dino.n se nahii.n hai kuchh us kii KHair KHabar
chalo 'faraaz' ko ai yaar chal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
is se ba.Dh kar ko.ii in.aam-e-hunar kyaa hai 'faraaz'
apne hii ahd me.n ek shaKHs fasaana ban jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
'faraaz' tuu ne use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaana saahab-e-zar aur sirf shaa.er tuu
Ahmad Faraz
Sher
shaa.irii taaza zamaano.n kii hai me.amaar 'faraaz'
ye bhii ik silsila-e-kun-fayakuu.n hai yuu.n hai
Ahmad Faraz
Sher
kabhii na jaa.egaa aashiq se dekh-bhaal kaa rog
pilaa.o laakh use bad-maza davaa-e-firaaq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa