SEARCH RESULTS
Showing search results for "shaa.ista-e-rafuu"
Sher MATCHES FOR "shaa.ista-e-rafuu"
Sher
kabhii jo zahmat-e-kaar-e-rafuu nahii.n kartaa
hamaare zaKHm usii chaaraagar ke naam tamaam
Irfan Siddiqi
Sher
naaseh bahut ba-fikr-e-rafuu thaa pe juu.n hubaab
mutlaq na us ke haath miraa pairahan lagaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
lahuu me.n Duubii hai taariiKH-e-KHilqat-e-insaa.n
abhii ye nasl hai shaa.ista-e-hayaat kahaa.n
Siraj Lakhnavi
Sher
zamaana laakh sitaaro.n ko chhuu ke aa jaa.e
abhii dilo.n ko magar haajat-e-rafuu hai vahii
Khaleel Tanveer
Sher
jab aa rahii hai.n bahaare.n liye payaam-e-junuu.n
ye pairahan ko mire haajat-e-rafuu kyaa thii
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
abas hai raaz ko paane kii justujuu kyaa hai
ye chaak-e-dil hai use haajat-e-rafuu kyaa hai
Abdul Ahad Saaz
Sher
maayuus na ho be-ruKHii-e-chashm-e-jahaa.n se
shaa.ista-e-ehsaas ko.ii kaam kiye jaa
Anwar Sabri
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
shiisha-e-dil ko yuu.n na uThaa.o
dekho haath se chhoTaa hotaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Abdul Majeed Salik
Sher
mai-kasho der hai kyaa daur chale bismillaah
aa.ii hai shiisha-o-saaGar kii talabgaar ghaTaa
Aagha Akbarabadi
Sher
saaqii tirii nazar to qayaamat sii Dhaa ga.ii
Thokar lagii to shiisha-e-tauba bhii chuur thaa
Muztar Khairabadi
Sher
sadme se baal shiisha-e-garduu.n me.n pa.D gayaa
tum ne dikhaa.ii koThe par apnii kamar kise
Muneer Shikohabadi
Sher
ab shiisha-e-saa.at kii tarah KHushkii ke baa.is
girya kii jagah ret nikaltii hai guluu se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kisii se uTh nahii.n sakne kaa bojh masto.n kaa
zamiin shaq ho agar shiisha-e-sharaab gire