SEARCH RESULTS
Showing search results for "shaakh-e-khaliil"
Sher MATCHES FOR "shaakh-e-khaliil"
Sher
mai.n adh-maraa gulaab sar-e-shaaKH-e-niim-jaa.n
haatho.n se tuu ne mujh ko sa.nvaaraa to mai.n gayaa
Ashfaq Shaheen
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
Humaira Rahat
Sher
Yaqoob Yawar
Sher
ai parindo aan kar baiTho sar-e-shaaKH-e-'azaa
ham daraKHto.n ko shu'uur-e-marsiya-KHvaanii bhii hai
Amaan Haider
Sher
lete hai.n samar shaaKH-e-samarvar ko jhukaa kar
jhukte hai.n saKHii vaqt-e-karam aur ziyaada
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
phaldaar daraKHto.n ne rijhaayaa to mujhe bhii
aazaad parindo.n ke liye shaaKH-o-samar kyaa
Badr Wasti
Sher
kesar me.n is tarah se aaluuda hai saraapaa
sunte the ham so dekhaa to shaaKH-e-za.afaraa.n hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
shaaKH-e-mizhgaa.n pe mahakne lage zaKHmo.n ke gulaab
pichhle mausam kii mulaaqaat kii buu zinda hai
Shahid Kamal
Sher
us kii aa.nkho.n ke agar vasf raqam kiijiyegaa
shaaKH-e-nargis ko qalam kar ke qalam kiijiyegaa
Ishq Aurangabadi
Sher
bijlii giregii sehn-e-chaman me.n kahaa.n kahaa.n
kis shaaKH-e-gulistaa.n pe miraa aashiyaa.n nahii.n
Salam Sandelvi
Sher
gar shaaKH-e-za.afaraa.n use kahiye to hai ravaa
hai farah-baKHsh vaaqa.ii is had kohaa.n basant
Insha Allah Khan Insha
Sher
kahaa thaa kis ne ki shaaKH-e-nahiif se phuuTe.n
gunaah ham se hu.aa be-gunaahiyo.n jaisaa