SEARCH RESULTS
Showing search results for "shaam-e-qayaamat"
Sher MATCHES FOR "shaam-e-qayaamat"
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
baal ruKHsaaro.n se jab us ne haTaa.e to khulaa
do fara.ngii sair ko nikle hai.n mulk-e-shaam se
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
qaamat hii likhaa ham ne sadaa jaa-e-qayaamat
qaamat ne bhulaayaa tire imlaa-e-qayaamat
Anwar Dehlvi
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
ai shaam-e-hijr-e-yaar mirii tuu gavaahii de
mai.n tere saath saath rahaa ghar nahii.n gayaa
Azeem Haider Syed
Sher
Gurbat kii sub.h me.n bhii nahii.n hai vo raushnii
jo raushnii ki shaam-e-savaad-e-vatan me.n thaa
Hasrat Mohani
Sher
hotii hii nahii.n sub.h-e-qayaamat bhii numuudaar
jaage.nge shab-e-hijr ke biimaar kahaa.n tak
Tabish Dehlvi
Sher
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye ko.ii ghar na ho
Akhtar Usman
Sher
ko.ii kyaa jaane ki hai roz-e-qayaamat kyaa chiiz
duusraa naam hai merii shab-e-tanhaa.ii kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
naqaab kahtii hai mai.n parda-e-qayaamat huu.n
agar yaqiin na ho dekh lo uThaa ke mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
kyaa kyaa dil-e-muztar ke armaan machalte hai.n
tasviir-e-qayaamat hai zaalim tirii a.ng.Daa.ii
Ram Krishn Muztar
Sher
'saudaa' kii jo baalii.n pe gayaa shor-e-qayaamat
KHuddaam-e-adab bole abhii aa.nkh lagii hai
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aa.nkho.n me.n merii sub.h-e-qayaamat ga.ii jhamak
siine se us parii ke jo parda ulaT gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
dil se baahar nikal aanaa mirii majbuurii hai
mai.n to is shor-e-qayaamat me.n nahii.n rah saktaa
Zafar Iqbal
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
sub.h gar sub.h-e-qayaamat ho to kuchh parvaa nahii.n
hijr kii jab raat aisii be-qaraarii me.n kaTii