SEARCH RESULTS
Showing search results for "shagl-e-dauraa.n"
Sher MATCHES FOR "shagl-e-dauraa.n"
Sher
ham shaa.er-e-hayaat hai.n ham shaa.er-e-hayaat!
'dauraa.n' vo surKH rang kaa parcham to do hame.n
Owais Ahmad Dauran
Sher
Siraj Lakhnavi
Sher
KHudaa gavaah hai mai.n shaGl-e-but-parastii me.n
sivaa.e ishq kisii kaam se nahii.n vaaqif
Shah Naseer
Sher
fart-e-Gam-e-havaadis-e-dauraa.n ke baavajuud
jab bhii tire dayaar se guzre machal ga.e
Ahmad Riyaz
Sher
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kii aab-o-havaa
aashiqo har-vaqt shaGl-e-aah-o-zaarii chaahiye
Rasheed lakhnavi
Sher
naira.ngii-e-siyaasat-e-dauraa.n to dekhiye
manzil unhe.n milii jo shariik-e-safar na the
Mohsin Bhopali
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
ham aise baKHt ke maare ki shahr me.n aa kar
libaas-e-gardish-e-dauraa.n bhii taar taar kiyaa
Ahmar Nadeem
Sher
ek naGma ik taaraa ek Guncha ek jaam
ai Gam-e-dauraa.n Gam-e-dauraa.n tujhe meraa salaam
Saghar Siddiqui
Sher
mai-e-hayaat me.n shaamil hai talKHii-e-dauraa.n
jabhii to pii ke taraste hai.n be-KHudii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
suntaa hai yahaa.n kaun samajhtaa hai yahaa.n kaun
ye shaGl-e-suKHan vaqt-guzaarii ke liye hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
mujh ko jab ahd-e-vafaa yaad aayaa
us ko bhii shaGl-e-jafaa yaad aayaa
Mohammad Husain Taib Dehlvi
Sher
shaGl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hai.n
kuchh samajh me.n nahii.n aataa ki ye kyaa kahte hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
har musiibat kaa diyaa ek tabassum se javaab
is tarah gardish-e-dauraa.n ko rulaayaa mai.n ne
Fani Badayuni
Sher
Gam aziizo.n kaa hasiino.n kii judaa.ii dekhii
dekhe.n dikhlaa.e abhii gardish-e-dauraa.n kyaa kyaa
Akhtar Shirani
Sher
saaqii mire KHuluus kii shiddat ko dekhnaa
phir aa gayaa huu.n gardish-e-dauraa.n ko Taal kar