SEARCH RESULTS
Showing search results for "shahpar"
Sher MATCHES FOR "shahpar"
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
duusro.n ke zaKHm bun kar o.Dhnaa aasaa.n nahii.n
sab qabaa.e.n hech hai.n merii ridaa ke saamne
Shehpar Rasool
Sher
Gaib kaa aisaa parinda hai zamii.n par insaa.n
aasmaano.n ko jo shah-par pe uThaa.e hu.e hai
Khursheed Akbar
Sher
reKHta kaa ik nayaa majzuub hai 'shahpar' rasuul
shohrat us ke naam par ik na.ng hai bohtaan hai
Shehpar Rasool
Sher
khii.nch detaa mai.n zamaane pe mohabbat ke nuquush
mere qabze me.n agar KHaama-e-shahpar hotaa
Haidar Ali Jafri
Sher
dhund hai aur surma.ii kohsaar kii choTii hai 'zeb'
zard shahpar dhuup u.Dne ke liye tayyaar hai
Zeb Ghauri
Sher
ab tak to apne aap se piichhaa na chhuT sakaa
mumkin hai kal se aap ke haq me.n du.aa karuu.n
Shehpar Rasool
Sher
'shahpar' mirii hado.n kaa ta.ayyun kare ko.ii
aa.nkho.n se bah rahuu.n ki rago.n me.n phiraa karuu.n
Shehpar Rasool
Sher
aasmaa.n-dar-aasmaa.n asraar mujh par khul ga.e
mai.n u.Daayaa jaa rahaa huu.n shahpar-e-jibriil se
Shahbaz Raja
Sher
shadiid pyaas thii phir bhii chhu.aa na paanii ko
mai.n dekhtaa rahaa dariyaa tirii ravaanii ko
Shahryar
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
justujuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne
Shahryar
Sher
chale to paa.nv ke niiche kuchal ga.ii ko.ii shai
nashe kii jho.nk me.n dekhaa nahii.n ki duniyaa hai