SEARCH RESULTS
Showing search results for "shahr-e-ilm"
Sher MATCHES FOR "shahr-e-ilm"
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Ibn e Insha
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
paa-e-sanam hai aur jabiin-e-haram-navaaz
rasm-o-rivaaj-e-shahr-e-mohabbat na puuchhiye
Akhtar Ali Talhari
Sher
dil dekhte hii us ko giraftaar ho gayaa
rusvaa-e-shahr-o-kuucha-o-baazaar ho gayaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
be-ilm shaa.iro.n kaa gila kyaa hai ai 'muniir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaa.n pasand
Muneer Shikohabadi
Sher
hame.n na dafn karo kachchii-pakkii qabro.n me.n
ham ahl-e-'ilm hai.n mar kar bhii jo nahii.n marte
Zahoor Chohan
Sher
is shahr-e-be-charaaG me.n jaa.egii tuu kahaa.n
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
dastak pe ab gharo.n se ko.ii boltaa nahii.n
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaa.n na thaa
Anees Ashfaq
Sher
ai shahr-e-sitam-zaad tirii umr ba.Dii ho
kuchh aur bataa naql-e-makaanii ke alaava
Khursheed Akbar
Sher
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hii le chale.n
aa.e hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
is shahr-e-fusuu.n-gar ke azaab aur, savaab aur
hijr aur tarah kaa hai, visaal aur tarah kaa
Khalid Moin
Sher
ye shahr-e-tilismaat hai kuchh kah nahii.n sakte
pahluu me.n kha.Daa shaKHs farishta ki balaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
dahshat-zada zamii.n par vahshat bhare makaa.n ye
is shahr-e-be-amaa.n kaa aaKHir ko.ii KHudaa hai