SEARCH RESULTS
Showing search results for "sharaarato.n"
Sher MATCHES FOR "sharaarato.n"
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
sharaafato.n kii yahaa.n ko.ii ahmiyat hii nahii.n
kisii kaa kuchh na bigaa.Do to kaun Dartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ab ke saavan me.n sharaarat ye mire saath hu.ii
meraa ghar chho.D ke kul shahr me.n barsaat hu.ii
Gopaldas Neeraj
Sher
ye zindagii kuchh bhii ho magar apne liye to
kuchh bhii nahii.n bachcho.n kii sharaarat ke alaava
Abbas Tabish
Sher
aaj us se mai.n ne shikva kiyaa thaa sharaaratan
kis ko KHabar thii itnaa buraa maan jaa.egaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
band kar ke mirii aa.nkhe.n vo sharaarat se ha.nse
buujhe jaane kaa mai.n har roz tamaashaa dekhuu.n
Parveen Shakir
Sher
jo kuchh ishaare hote hai.n sab dekhtaa huu.n mai.n
saarii sharaarat aap kii merii nazar me.n hai
Nizam Rampuri
Sher
shoKHii kisii me.n hai na sharaarat hai ab 'obaid'
bachche hamaare daur ke sanjiida ho ga.e
Obaidur Rahman
Sher
mai.n apne saare savaalo.n ke jaantaa huu.n javaab
miraa savaal mire zehn kii sharaarat hai
Saeed Naqvi
Sher
mai.n shar kii sharaarat se to hoshyaar huu.n lekin
allaah bachaa.e to bachuu.n KHair ke shar se
Pinhaan
Sher
palak fasaana sharaarat hijaab tiir du.aa
tamannaa nii.nd ishaara KHumaar saKHt thakii
Shahzad Qais
Sher
hasiino.n kii dono.n adaa.e.n hai.n dilbar
kisii kii hayaa to sharaarat kisii kii
Afsar Allahabadi
Sher
Salam Machhli shahri
Sher
Nasir Shahzad
Sher
sharaafato.n ke rang me.n sharaarte.n KHalat-malat
sar-mazaaq ho ga.ii.n himaaqate.n KHalat-malat
Rahi Fidai
Sher
Malika Naseem
Sher
kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil kii thii
aaj lekin ishq apnaa jaavedaa.n hone ko thaa