SEARCH RESULTS
Showing search results for "sheva-e-arbaab-e-vafaa"
Sher MATCHES FOR "sheva-e-arbaab-e-vafaa"
Sher
haadsaat-e-dahr me.n vaabasta-e-arbaab-e-dard
lii jahaa.n karvaT kisii ne inqalaab aa hii gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
ab jafaa se bhii hai.n mahruum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai
Aal-e-Raza Raza
Sher
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
tilism-e-sheva-e-yaaraa.n khulaa to kuchh na hu.aa
kabhii ye habs-e-dil-o-jaa.n khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
Sher
allaah allaah ye fazaa-e-dushman-e-mehr-o-vafaa
aashnaa ke naam se hotaa hai barham aashnaa
Anwar Sabri
Sher
israaf ne arbaab-e-tamavvul ko Duboyaa
aalim ko tafaaKHur ne to zaahid ko riyaa ne
Ismail Merathi
Sher
ham se ba.Dhii masaafat-e-dasht-e-vafaa ki ham
KHud hii bhaTak ga.e jo kabhii raasta milaa
Zehra Nigaah
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
Nooh Narvi
Sher
qiimat-e-jins-e-vafaa niim-nigaahii tauba
aisii baate.n na kare.n aap ki saudaa na bane
Safdar Mirzapuri
Sher
kaise hai.n KHaanqaah me.n arbaab-e-KHaanqaah
kis haal me.n hai piir-e-muGaa.n dekhte chale.n