SEARCH RESULTS
Showing search results for "shiq"
Sher MATCHES FOR "shiq"
Sher
tumhaaraa sirf havaa.o.n pe shak gayaa hogaa
charaaG KHud bhii to jal jal ke thak gayaa hogaa
Zubair Ali Tabish
Sher
ye zindagii jo pukaare to shak saa hotaa hai
kahii.n abhii to mujhe KHud-kushii nahii.n karnii
Swapnil Tiwari
Sher
chubhan ye piiTh me.n kaisii hai mu.D ke dekh to le
kahii.n ko.ii tujhe piichhe se dekhtaa hogaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
jhuuT me.n shak kii kam gunjaa.ish ho saktii hai
sach ko jab chaaho jhuThlaayaa jaa saktaa hai
Shakeel Jamali
Sher
galii ke mo.D se ghar tak a.ndheraa kyuu.n hai 'nizaam'
charaaG yaad kaa us ne bujhaa diyaa hogaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
use kisii se mohabbat na thii magar us ne
gulaab to.D ke duniyaa ko shak me.n Daal diyaa
Dilawar Ali Aazar
Sher
kaav kaav-e-saKHt-jaanii haa.e-tanhaa.ii na puuchh
sub.h karnaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
zindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchh
juu-e-shiir o tesha o sa.ng-e-giraa.n hai zindagii
Allama Iqbal
Sher
shak un ko thaa ki raat me.n bosa na le ko.ii
gaalo.n pe rakh ke so.e kalaa.ii tamaam raat
Unknown
Sher
ashko.n ke Tapakne par tasdiiq hu.ii us kii
be-shak vo nahii.n uThte aa.nkho.n se jo girte hai.n
Nooh Narvi
Sher
manzar ko kisii tarah badalne kii du.aa de
de raat kii ThanDak ko pighalne kii du.aa de
Sheen Kaaf Nizam
Sher
shaam ko sub.h se ta.abiir karo tum lekin
aa.nkh vaale to sahar hii ko sahar jaante hai.n
Shaiq Muzaffarpuri
Sher
mujhe shak hai hone na hone pe 'KHaalid'
agar huu.n to apnaa pataa chaahtaa huu.n