SEARCH RESULTS
Showing search results for "shu.aa-e-safed"
Sher MATCHES FOR "shu.aa-e-safed"
Sher
abhii chhi.De hii na the tazkire bahaaro.n ke
shu.aa-e-husn se suljhe na the dimaaG abhii
Afsar Azri
Sher
Karamat Ali Karamat
Sher
siirat ke ham Gulaam hai.n suurat hu.ii to kyaa
surKH o safed miTTii kii muurat hu.ii to kyaa
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
shab-e-hijraa.n kyaa siyaahii na hu.ii roz-e-safed
ye varaq tuu ne na ai gardish-e-ayyaam ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
piirii me.n 'riyaaz' ab bhii javaanii ke maze hai.n
ye riish-e-safed aur mai-e-hosh-rubaa surKH
Riyaz Khairabadi
Sher
subuu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashaan-e-hayaat
shu.aa-e-qahr-e-tabassum charaaG-e-diida-e-nam
Izhaar Malihabadi
Sher
manzil pe bhii pahu.nch ke mayassar nahii.n sakuu.n
majbuur is qadar hai.n shu.uur-e-safar se ham
Karamat Ali Karamat
Sher
safar hii shart-e-safar hai to KHatm kyaa hogaa
tumhaare ghar se udhar bhii ye raasta hogaa
Akhtar Saeed Khan
Sher
itne KHadshe nahii.n hai.n rasto.n me.n
jis qadar KHvaahish-e-safar me.n hai.n
Amjad Islam Amjad
Sher
raKHt-e-safar jo paas hamaare na thaa to kyaa
shauq-e-safar ko saath liyaa aur chal pa.De
Makhmoor Saeedi
Sher
kaafii hai nishaanii tiraa chhalle kaa na denaa
KHaalii mujhe dikhlaa ke ba-vaqt-e-safar a.ngusht
Mirza Ghalib
Sher
tamaam umr ba-qaid-e-safar rahaa huu.n mai.n
tavaaf phir kisii ka.abe kaa kar rahaa huu.n mai.n
Sarfaraz Khalid
Sher
dil ko tire firaaq kii aarzuu yaad rah ga.ii
din vo mohabbato.n ke bhii misl-e-rah-e-safar ga.e
Kishwar Naheed
Sher
zamiin mom kii hotii hai mere qadmo.n me.n
miraa shariik-e-safar aaftaab hotaa hai