SEARCH RESULTS
Showing search results for "shud"
Sher MATCHES FOR "shud"
Sher
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
aa.nkho.n se KHvaab dil se tamannaa tamaam-shud
tum kyaa ga.e ki shauq-e-nazaara tamaam-shud
Hasan Abbas Raza
Sher
ham za.iifo.n ko kahaa.n aamad o shud kii taaqat
aa.nkh kii band hu.aa kuucha-e-jaanaa.n paidaa
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ruke hai aamad-o-shud me.n nafas nahii.n chaltaa
yahii hai hukm-e-ilaahii to bas nahii.n chaltaa
George Puech Shor
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
Anwar Shuoor
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
KHamoshii se musiibat aur bhii sa.ngiin hotii hai
ta.Dap ai dil ta.Dapne se zaraa taskiin hotii hai
Shad Azimabadi
Sher
ittifaaq apnii jagah KHush-qismatii apnii jagah
KHud banaataa hai jahaa.n me.n aadmii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
buraa bure ke alaava bhalaa bhii hotaa hai
har aadmii me.n ko.ii duusraa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Sher
ab bhii ik umr pe jiine kaa na andaaz aayaa
zindagii chho.D de piichhaa miraa mai.n baaz aayaa