SEARCH RESULTS
Showing search results for "shuumii-e-bakht"
Sher MATCHES FOR "shuumii-e-bakht"
Sher
ho ke afsurda mirii shuumii-e-taqdiir na dekh
apne pairo.n me.n mire paa.nv kii zanjiir na dekh
Hazar Lakhnavi
Sher
gardish-e-baKHt se ba.Dhtii hii chalii jaatii hai.n
mirii dil-bastagiyaa.n zulf-e-girah-giir ke saath
Bekhud Badayuni
Sher
muhtaaj-e-zeb-e-aariyatii kab hai zaat-e-baht
allaah kaa qadiim se hai naam be-nuqat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shaayad mizaaj ham se mukaddar hai yaar kaa
likkhaa hai us ne ham ko ba-KHatt-e-Gubaar KHat
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
ham aise baKHt ke maare ki shahr me.n aa kar
libaas-e-gardish-e-dauraa.n bhii taar taar kiyaa
Ahmar Nadeem
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
o ataarid zuhal-e-nahis se Tuk maa.ng midaad
baKHt kaa maajraa likhtaa huu.n siyaahii denaa
Mirza Zahirddin Azfari
Sher
kam mat gino ye baKHt-siyaaho.n kaa ra.ng-e-zard
sonaa vahii jo hove kasauTii kasaa hu.aa
Abroo Shah Mubarak
Sher
vo bhii maqaam aa.e hai majnuu.n ke baKHt me.n
lailaa dikhaa.ii dene lage har daraKHt me.n
Bhaskar Shukla
Sher
mat baKHt-e-KHufta par mire ha.ns ai raqiib tuu
hogaa tire nasiib bhii ye KHvaab dekhnaa
Meer Hasan
Sher
Talnaa thaa mere paas se ai kaahilii tujhe
kam-baKHt tuu to aa ke yahii.n Dher ho ga.ii
Mirza Hadi Ruswa
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo