SEARCH RESULTS
Showing search results for "sifaal-e-hind"
Sher MATCHES FOR "sifaal-e-hind"
Sher
jis kuu me.n ho guzaar-e-parii-tal.ataan-e-hind
vo kuucha kyuu.nke ruu-kash-e-chiin-o-chagil na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
hai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naaz
ahl-e-nazar samajhte hai.n us ko imaam-e-hind
Allama Iqbal
Sher
phir dayaar-e-hind ko aabaad karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan aazaad karne ke liye
Altaf Mashhadi
Sher
butaan-e-hind mire dil me.n hai.n dar aa.e hu.e
KHudaa ke ghar ko ghar apnaa hai.n ye banaa.e hu.e
Zeba
Sher
ham bahut dekhe fara.ngistaan ke husn-e-sabiih
charb hai sab par butaan-e-hind kaa ra.ng-e-maliih
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
shor rakhte hai.n jahaa.n me.n jis qadar sabzaan-e-hind
be-namak hai un ke aage husn aur atraaf kaa
Waliullah Muhib
Sher
terii KHaatir jo hu.ii us har shahaadat ko salaam
sarzamiin-e-hind terii shaan-o-shaukat ko salaam
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
ka.abe ko jaataa kis liye hindostaa.n se mai.n
kis but me.n shahr-e-hind ke shaan-e-KHudaa na thii
Rind Lakhnavi
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
pha.ns gayaa hai daam-e-kaakul me.n butaan-e-hind ke
taa.ir-e-dil ko hamaare raam-daanaa chaahiye
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
mashGuul hai.n safaa.ii-o-tausi-e-dil me.n ham
ta.ngii na is makaan me.n ho mehmaan ko
Ahmad Javaid
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
daad-e-safar milii hai kise raah-e-shauq me.n
ham ne miTaa diye hai.n nishaa.n apne paa.nv ke
Qateel Shifai
Sher
dekho na zaat paat na naam-o-nasab 'shifaa'
par dost jab banaa.o to kirdaar dekh kar
Shifa Kajgavnwi
Sher
bujh ga.ii sham.a kaTii raat ga.ii sab mahfil
ab akele hii kaTegaa safar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
tai kar liyaa hai mai.n ne saraabo.n bharaa safar
ai dasht ab mujhe miraa in.aam chaahiye
Salim Saleem
Sher
kabhii kabhii safar-e-zindagii se ruuTh ke ham
tire KHayaal ke saa.e me.n baiTh jaate hai.n