SEARCH RESULTS
Showing search results for "siim-bar"
Sher MATCHES FOR "siim-bar"
Sher
merii to por por me.n KHushbuu sii bas ga.ii
us par tiraa KHayaal hai aur chaa.nd-raat hai
Wasi Shah
Sher
ka.ii jhamelo.n me.n uljhii sii bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaaGzaat kaa dukh
Saima Aftab
Sher
go zaraa sii baat par barso.n ke yaaraane ga.e
lekin itnaa to hu.aa kuchh log pahchaane ga.e
Khatir Ghaznavi
Sher
kaun sii baat kahaa.n kaise kahii jaatii hai
ye saliiqa ho to har baat sunii jaatii hai
Waseem Barelvi
Sher
zaraa sii baat sahii teraa yaad aa jaanaa
zaraa sii baat bahut der tak rulaatii thii
Nasir Kazmi
Sher
chhoTii sii baat pe KHush honaa mujhe aataa thaa
par ba.Dii baat pe chup rahnaa tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
itnii sii baat raat pata bhii nahii.n lagii
kab bujh ga.e charaaG havaa bhii nahii.n lagii
Bharat Bhushan Pant
Sher
zaraa sii baat pe kyaa kyaa fasaana-saazii hai
mai.n KHud bhii chaahtaa kab thaa ki daastaa.n na bane
Aslam Ansari
Sher
zaraa sii baat thii arz-e-tamannaa par biga.D baiThe
vo merii umr bhar kii daastaan-e-dard kyaa sunte
Unknown
Sher
zaraa sii baat nahii.n hai kisii kaa ho jaanaa
ki umr lagtii hai but ko KHudaa banaane me.n
Priyamvada Ilhan
Sher
umr bhar kii baat big.Dii ik zaraa sii baat me.n
ek lamha zindagii bhar kii kamaa.ii khaa gayaa
Nazeer Banarasi
Sher
kaun sii baat na.ii ai dil-e-naakaam hu.ii
shaam se sub.h hu.ii sub.h se phir shaam hu.ii
Shad Azimabadi
Sher
ik zaraa sii baat pe ye mu.nh banaanaa ruuThnaa
is tarah to ko.ii apno.n se KHafaa hotaa nahii.n