SEARCH RESULTS
Showing search results for "silaa.iye"
Sher MATCHES FOR "silaa.iye"
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
dasht-e-tanhaa.ii me.n jiine kaa saliiqa siikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhii ham-safar ho jaa.e.nge
Fuzail Jafri
Sher
bazm-e-vafaa sajii to ajab silsile hu.e
shikve hu.e na un se na ham se gile hu.e
Yazdani Jalandhari
Sher
hairato.n ke silsile soz-e-nihaa.n tak aa ga.e
ham nazar tak chaahte the tum to jaa.n tak aa ga.e
Qabil Ajmeri
Sher
nazro.n ke silsile the rishta ko.ii na thaa
kis se kare.n shikaayat apnaa ko.ii na thaa
Ehsas magahri
Sher
yuu.n jaagne lage tirii yaado.n ke silsile
suuraj galii galii se nikaltaa dikhaa.ii de
Ahmad Wasi
Sher
khaave.nge Taa.nke zaKHm-e-sar-o-ruu par ai tabiib
par zaKHm-e-dil to ham se silaayaa na jaa.egaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
phir aa.ii zulf-e-musalsal kii lahr pesh-e-nazar
phir ik junuu.n ke na.e silsile hu.e dil me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
mai.n kis yaqiin se likkhaa gayaa huu.n miTTii par
vo kaun hai jo mire silsile kii Dhaal banaa
KHalid Malik Sahil
Sher
apne majnuu.n kii zaraa dekh to be-parvaa.ii
pairahan chaak hai aur fikr silaane kii nahii.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
chaa.e ke ek cup kaa yahii hai mu.aavza
yaaro.n ko ahd-e-rafta ke qisse sunaa.iye
Syed Fazlul Mateen
Sher
siikhiye 'jur.at' kisii se ko.ii baazii ko.ii khel
is bahaane se ko.ii vaa.n ham ko le to jaa.egaa