SEARCH RESULTS
Showing search results for "silsila-dar-silsila"
Sher MATCHES FOR "silsila-dar-silsila"
Sher
taariiKH-e-junuu.n ye hai ki har daur-e-KHirad me.n
ik silsila-e-daar-o-rasan ham ne banaayaa
Nushur Wahidi
Sher
ai dil tujhe karnii hai agar ishq se bai.at
zinhaar kabhuu chho.Diyo mat silsila-e-dard
Waliullah Muhib
Sher
kartaa kuchh aur hai vo dikhaataa kuchh aur hai
dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai
Aftab Hussain
Sher
har daur kaa jo aks hai vo aa.ina hai.n ham
taKHliiq-e-kaa.enaat kaa ik silsila hai.n ham
Malika Naseem
Sher
udaasiyo.n ko to aa.ngan hii chaahiye.n KHaalii
chhato.n pe chaa.ndnii raato.n kaa silsila rakhnaa
Kishwar Naheed
Sher
guftuguu kisii se ho teraa dhyaan rahtaa hai
TuuT TuuT jaataa hai silsila takallum kaa
Fareed Javed
Sher
bazm-e-vafaa sajii to ajab silsile hu.e
shikve hu.e na un se na ham se gile hu.e
Yazdani Jalandhari
Sher
Ahmad Khayal
Sher
qadam qadam ko.ii saaya saa muttasil to rahe
saraab kaa ye sar-e-silsila daraaz to ho
Gauhar Hoshiyarpuri
Sher
shaa.irii taaza zamaano.n kii hai me.amaar 'faraaz'
ye bhii ik silsila-e-kun-fayakuu.n hai yuu.n hai
Ahmad Faraz
Sher
vo mujh ko bhuul chukaa ab yaqiin hai varna
vafaa nahii.n to jafaa.o.n kaa silsila rakhtaa
Iffat Zarrin
Sher
sukuut tark-e-ta.alluq kaa ik garaa.n lamha
banaa gayaa hai sadaa.o.n kaa silsila mujh ko
Ameeq Hanafi
Sher
dil un ke saath magar teG aur shaKHs ke saath
ye silsila bhii kuchh ahl-e-riyaa kaa lagtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
dilo.n ko fikr-e-do-aalam se kar diyaa aazaad
tire junuu.n kaa KHudaa silsila daraaz kare
Hasrat Mohani
Sher
har yaad har KHayaal hai lafzo.n kaa silsila
ye mahfil-e-navaa hai yahaa.n bolte raho
Baqi Siddiqui
Sher
bane-banaa.e se rasto.n kaa silsila niklaa
nayaa safar bhii bahut hii gurez-paa niklaa