SEARCH RESULTS
Showing search results for "silsila-e-aab-shaar"
Sher MATCHES FOR "silsila-e-aab-shaar"
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahii.n behtar thaa
apne hisse kii ko.ii sham.a jalaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
mil hii jaa.egii kabhii manzil-e-maqsuud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
Aziz Tamannai
Sher
ulTii har ek rasm-e-jahaan-e-shu.uur hai
siidhii sii ik Gazal mujhe likhnii zaruur hai
Ismail Merathi
Sher
yuu.n ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushnii ko shahr-badar kar diyaa gayaa
Sattar Syed
Sher
Khaleel Mamoon
Sher
halqa-e-shaam-o-sahar se nahii.n jaane vaalaa
dard is diida-e-tar se nahii.n jaane vaalaa
Syed Amin Ashraf
Sher
vahii yaksaaniyat-e-shaam-o-sahar hai ki jo thii
zindagii dast-ba-dil KHaak-basar hai ki jo thii
Azeem Murtaza
Sher
hamla hai chaar suu dar-o-diivaar-e-shahr kaa
sab ja.ngalo.n ko shahr ke andar sameT lo
Jaun Eliya
Sher
hame.n KHabar hai ki ham hai.n charaaG-e-aaKHir-e-shab
hamaare baa'd a.ndheraa nahii.n ujaalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
qaazii kaa na Dar hai na Gam-e-mohtasib-e-shahr
hoshiyaar na ho ko.ii taGaaful ke baraabar
Hatim Ali Mehr
Sher
varaq varaq hai.n yahaa.n haadsaat-e-roz-o-shab
kitaab-e-ziist mai.n mansuub ab karuu.n kis se
Farhan Hanif Warsi
Sher
Basheerunnisaa Begam Basheer
Sher
judaa jo ho ga.e tasbiih-e-roz-o-shab se 'adiil'
mai.n zindagii me.n vo daane piro nahii.n saktaa
Adeel Zaidi
Sher
daaG-e-firaaq-e-sohbat-e-shab kii jalii hu.ii
ik sham.a rah ga.ii hai so vo bhii KHamosh hai
Mirza Ghalib
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
mar ke TuuTaa hai kahii.n silsila-e-qaid-e-hayaat
magar itnaa hai ki zanjiir badal jaatii hai