SEARCH RESULTS
Showing search results for "sirat"
Sher MATCHES FOR "sirat"
Sher
siirat na ho to aariz-o-ruKHsaar sab Galat
KHushbuu u.Dii to phuul faqat rang rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
tirii suurat se hasii.n aur bhii mil jaa.e.nge
jis me.n siirat bhii tirii ho vo kahaa.n se laa.uu.n
Ashok Sawhny
Sher
husn-e-suurat chand roz husn-e-siirat mustaqil
is se KHush hote hai.n log us se KHush hote hai.n dil
Unknown
Sher
siirat kisii kii KHuub hai suurat kisii kii KHuub
ko.ii hamaare dil me.n hai ko.ii nazar me.n hai
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
siirat ke ham Gulaam hai.n suurat hu.ii to kyaa
surKH o safed miTTii kii muurat hu.ii to kyaa
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
duusro.n ke vaaste jiite rahe marte rahe
KHuub-siirat log the raaz-e-mohabbat paa ga.e
Hayat Rizvi Amrohvi
Sher
ye zindagii to ko.ii imtihaan lagtii hai
ye pul-siraat bhii ham ne guzar ke dekh liyaa
Erum Zehra
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
terii suurat se kisii kii nahii.n miltii suurat
ham jahaa.n me.n tirii tasviir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ai sanam jis ne tujhe chaa.nd sii suurat dii hai
usii allaah ne mujh ko bhii mohabbat dii hai