SEARCH RESULTS
Showing search results for "sleeper"
Sher MATCHES FOR "sleeper"
Sher
paas-e-hayaat kaa KHayaal ham ko bahut buraa lagaa
pas ba-hujuum-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
Jaun Eliya
Sher
makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipehr-o-zamii.n
dikhaa.ii detaa hai sab kuchh yahaa.n KHudaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
de mujh ko bhii is daur me.n saaqii sipar-e-jaam
har mauj-e-havaa khii.nche hai shamshiir havaa par
Shah Naseer
Sher
teG-bar-dosh sipar haath me.n daaman gardaa.n
ye banaa suurat-e-KHu.nKHaar kahaa.n jaanaa hai
Meer Mohammadi Bedar
Sher
qaatil ne adaa kaa kiyaa jab vaar uchhal kar
mai.n ne sipar-e-dil kuu.n kiyaa oT sambhal kar
Siraj Aurangabadi
Sher
maGrib me.n us ko ja.ng hai kyaa jaane kis ke saath
suuraj chalaa hai baa.ndh ke teG o sipar kahaa.n