SEARCH RESULTS
Showing search results for "speed"
Sher MATCHES FOR "speed"
Sher
Akhtar Saeed Khan
Sher
tuu kahaanii hii ke parde me.n bhalii lagtii hai
zindagii terii haqiiqat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
zindagii kyaa hu.e vo apne zamaane vaale
yaad aate hai.n bahut dil ko dukhaane vaale
Akhtar Saeed Khan
Sher
ye dasht vo hai jahaa.n raasta nahii.n miltaa
abhii se lauT chalo ghar abhii ujaalaa hai
Akhtar Saeed Khan
Sher
aa.nkho.n se vo kabhii mirii ojhal nahii.n rahaa
Gaafil mai.n us kii yaad se ik pal nahii.n rahaa
Saadat Saeed
Sher
kaise sukuun paa.uu.n tujhe dekhne ke ba.ad
ab kyaa Gazal sunaa.uu.n tujhe dekhne ke ba.ad
Saeed Shahidi
Sher
band kar de ko.ii maazii kaa dariicha mujh par
ab is aa.iine me.n suurat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
Saeed Qais
Sher
zindagii chhiin le baKHshii hu.ii daulat apnii
tuu ne KHvaabo.n ke sivaa mujh ko diyaa bhii kyaa hai
Akhtar Saeed Khan
Sher
aa ki mai.n dekh luu.n khoyaa hu.aa chehra apnaa
mujh se chhup kar mirii tasviir banaane vaale
Akhtar Saeed Khan
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii saath to ik umr kaa hai
dil se ab dard kii ruKHsat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
ham ne maanaa ik na ik din lauT ke tuu aa jaa.egaa
lekin tujh bin umr jo guzrii kaun use lauTaa.egaa
Akhtar Saeed Khan
Sher
nasheman par nasheman is qadar taa'miir kartaa jaa
ki girte girte bijlii aap KHud be-zaar ho jaa.e
Saeed Shahidi
Sher
ye vaaqi.a mirii aa.nkho.n ke saamne kaa hai
sharaab naach rahii thii gilaas baiThe rahe
Saeed Qais
Sher
rusvaa.ii to vaise bhii taqdiir hai aashiq kii
zillat bhii milii ham ko ulfat ke fasaane se
Saeed Rahi
Sher
bahut qariib rahii hai ye zindagii ham se
bahut aziiz sahii e'tibaar kuchh bhii nahii.n
Akhtar Saeed Khan
Sher
miraa fasaana har ik dil kaa maajraa to na thaa
sunaa bhii hogaa kisii ne to kyaa sunaa hogaa