SEARCH RESULTS
Showing search results for "sultaa.n"
Sher MATCHES FOR "sultaa.n"
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
jis ahd me.n luT jaa.e faqiiro.n kii kamaa.ii
us ahd ke sultaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
fursat me.n rahaa karte hai.n fursat se zyaada
masruuf hai.n ham log zaruurat se zyaada
Sultan Akhtar
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
Navab Sultan Jahan Begam
Sher
jab bhii mile ham un se unho.n ne yahii kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap kii taraf
Basir Sultan Kazmi
Sher
safar safar mire qadmo.n se jagmagaayaa hu.aa
taraf taraf hai mirii KHaak-e-justujuu raushan
Sultan Akhtar
Sher
dil lagaa lete hai.n ahl-e-dil vatan ko.ii bhii ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman ko.ii bhii ho
Basir Sultan Kazmi
Sher
'baasir' tumhe.n yahaa.n kaa abhii tajraba nahii.n
biimaar ho? pa.De raho, mar bhii ga.e to kyaa
Basir Sultan Kazmi
Sher
ruk gayaa haath tiraa kyuu.n 'baasir'
ko.ii kaa.nTaa to na thaa phuulo.n me.n
Basir Sultan Kazmi
Sher
sab ke ho.nTo.n pe munavvar hai.n hamaare qisse
aur ham apnii kahaanii bhii nahii.n jaante hai.n