SEARCH RESULTS
Showing search results for "surKHi-e-ruKHsaar"
Sher MATCHES FOR "surKHi-e-ruKHsaar"
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
kalii chaTaKH ke labo.n ke mizaaj tak pahu.nchii
gulaab Tuut ke surKHii-e-gaal tak aa.e
Tauqeer Ahmad
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
chashm o ruKHsaar ke azkaar ko jaarii rakkho
pyaar ke naame ko doharaa.o ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
Sher
ba.Dhte ba.Dhte aatish-e-ruKHsaar lau dene lagii
rafta rafta kaan ke motii sharaare ho ga.e
Taashshuq Lakhnavi
Sher
siirat na ho to aariz-o-ruKHsaar sab Galat
KHushbuu u.Dii to phuul faqat rang rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
dil bujhne lagaa aatish-e-ruKHsaar ke hote
tanhaa nazar aate hai.n Gam-e-yaar ke hote
Zehra Nigaah
Sher
ham ne us ke lab o ruKHsaar ko chhuu kar dekhaa
hausle aag ko gulzaar banaa dete hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
daftar kii thakan o.Dh ke tum jis se mile ho
us shaKHs ke taaza lab-o-ruKHsaar to dekho
Jazib Quraishi
Sher
ye lab-o-ruKHsaar ye chehraa teraa pur-nuur saa
tujh ko kyaa dekhaa lagaa jaise ko.ii dekhii Gazal
Ejazulhaq Shahab
Sher
shar.a-o-aa.iin kii taaziir ke baa-vasf shabaab
lab-o-ruKHsaar kii jaanib nigaraa.n hai ki jo thaa
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
yaa guftuguu ho un lab-o-ruKHsaar-o-zulf kii
yaa un KHamosh nazro.n ke lutf-e-suKHan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
mai-KHaana salaamat hai to ham surKHii-e-mai se
taz.iin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
chaltii to hai par shoKHii-e-raftaar kahaa.n hai
talvaar me.n paazeb kii jhankaar kahaa.n hai