SEARCH RESULTS
Showing search results for "suu-e-dair"
Sher MATCHES FOR "suu-e-dair"
Sher
hai ain-e-vasl me.n bhii mirii chashm suu-e-dar
lapkaa jo pa.D gayaa hai mujhe intizaar kaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil ko ai ishq suu-e-zulf-e-siyah-faam na bhej
rahzano.n me.n tuu musaafir ko sar-e-shaam na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Waliullah Muhib
Sher
chand muddat ko firaaq-e-sanam-o-dair to hai
aa.o ka.aba kabhii dekh aa.e.n na ik sair to hai
Insha Allah Khan Insha
Sher
be-parda suu-e-vaadi-e-majnuu.n guzar na kar
har zarra ke naqaab me.n dil be-qaraar hai
Mirza Ghalib
Sher
Khursheed Rizvi
Sher
dekhiye tark-e-adab kii kyaa milii ta.aziir kal
piiTh hai suu-e-haram mu.nh hai suu-e-but-KHaana aaj
Imdad Ali Bahr
Sher
jo log aa rahe hai.n tumhaare qariib-tar
mu.D kar vo suu-e-shaam-o-sahar dekhte nahii.n
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
jaataa huu.n suu-e-vaadii-e-Gurbat ba-haal-e-zaar
ahl-e-vatan mu.aaf ho meraa kahaa-sunaa
Unknown
Sher
chal suu-e-gor-e-gariibaa.n ai hariis-e-maal-o-zar
dekh kitnii aarzuu.e.n nazr-e-madfan ho ga.ii.n
Auj lakhnavi
Sher
raqs-e-mai tez karo saaz kii lai tez karo
suu-e-mai-KHaana safiiraan-e-haram aate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
fasl-e-gul aa.ii uThaa abr chalii sard hu.aa
suu-e-mai-KHaana aka.Dte hu.e mai-KHvaar chale