SEARCH RESULTS
Showing search results for "suu-e-dair"
Ghazal MATCHES FOR "suu-e-dair"
Ghazal
haram chho.D kar mai.n gayaa suu-e-dair
tabii.at kidhar se kidhar ho ga.ii
Munshi Shiv Parshad Wahbi
Ghazal
jaate hai.n suu-e-dair rah-e-kaaba chho.D kar
haq me.n hamaare dekhiye allaah kyaa kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Ghazal
kisii ne lii rah-e-ka.aba ko.ii gayaa suu-e-dair
pa.De rahe tire bande magar tire dar par
Aasi Ghazipuri
Ghazal
ham shaiKH se ye kah ke suu-e-dair chal diye
rakhiyegaa yaad ham ko bhii apnii du.aa.o.n me.n
Rasheed Kausar Farooquee
Ghazal
jaataa hai ko.ii ka.abe ko aur ko.ii suu-e-dair
mujh ri.nd kii hai KHaana-e-KHummaar tak pahu.nch
Mirza Asman Jah Anjum
Ghazal
kam-baKHt suu-e-dair-o-haram bhaag rahii hai.n
gulshan kii havaa.o.n ko sanaknaa bhii na aayaa
Ezaz Afzal
Ghazal
ko.ii kaafir ho jo kal jaa.e suu-e-dair-e-butaa.n
ki bachaa aaj hii iimaan ba.Dii mushkil se
Riyaz Khairabadi
Ghazal
ahl-e-dil chalne lage jab bhii suu-e-dair-o-haram
muntazir us raah me.n har baar maiKHaane mile
Shoque Moradabadi
Ghazal
chal diye uTh ke suu-e-shahr-e-vafaa kuu-e-habiib
puuchh lenaa thaa kisii KHaak-basar se pahle
Ibn e Insha
Ghazal
dil nahii.n jaataa thaa suu-e-raah-e-dair
kaise kaafir ko musalmaa.n kar diyaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Ghazal
suu-e-haram-o-dair kabhii ruKH na kare.nge
jin ko mire saaqii kii hai ra.ngii.n-nazarii yaad
Shaer Fatahpuri
Ghazal
aa.nkh suu-e-haram-o-dair kabhii uTh jaatii
ishq kii raah me.n ye bhii to gavaaraa na hu.aa
Faizi Nizam Puri
Ghazal
yahii hai sair faqiiro.n kii aur yahii fariyaad
zamii.n pe baiTh ga.e suu-e-aasmaa.n dekhaa
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
zaraa sii der Thahar jaa.o jugnu.o.n aa kar
hamaare ghar me.n charaaGo.n kii raushnii kam hai
M. I. Sajid
Ghazal
martaa huu.n aur jaa nahii.n saktaa suu-e-adam
mujh naa-tavaa.n ko tauq-o-salaasil se kyaa Garaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
ka.abe me.n bhii ga.e to hame.n terii yaad aah
phir suu-e-dair ai but-e-dil-KHvaah le ga.ii
Asifud Daula
Ghazal
dil o dii.n kho ke aa.e the suu-e-dair
yaa.n bhii sab kuchh diyaa KHudaa tuu ne